اردو हिंदी
Ghaur to kije ki ye sajda-rawa kyun kar hua | Shaahi Shayari
ghaur to kije ki ye sajda-rawa kyun kar hua

Ghazal

Ghaur to kije ki ye sajda-rawa kyun kar hua

Jameel Mazhari

;

ghaur to kije ki ye sajda-rawa kyun kar hua
us ne jab kuchh hum se manga to KHuda kyunkar hua

ai nigah-e-shauq is chashm-e-fusun-pardaz mein
wo jo ek pindar tha aaKHir haya kyunkar hua

ek taraazu ishq ke hathon mein bhi jab hai to wo
aalam-e-sud-o-ziyan se mawara kyunkar hua

din o danish donon hi har moD par the dil ke sath
yak-ba-yak diwana donon se KHafa kyunkar hua

rahzanon ke ghol idhar the rahbaron ki bhiD udhar
aa gae manzil pe hum ye mojaza kyunkar hua

KHarzar-e-din-o-danish lala-zar-e-husn-o-ishq
dil ki ek wahshat se tai ye marhala kyunkar hua

apne zehni zalzalon ka nam jo rakh lo magar
do dilon ka ek tasadum saneha kyunkar hua

teri mahrumi use jo bhi kahe lekin 'jamil'
ghair se us ne wafa ki bewafa kyunkar hua