اردو हिंदी
Gauhar-e-ashk se labrez hai sara daman | Shaahi Shayari
gauhar-e-ashk se labrez hai sara daman

Ghazal

Gauhar-e-ashk se labrez hai sara daman

Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

;

gauhar-e-ashk se labrez hai sara daman
aaj-kal daman-e-daulat hai hamara daman

ai junun baad-e-bahaari se nahin jumbish mein
kuchh gareban se karta hai ishaara daman

wasl ki raat hai bigDo na barabar to rahe
phaT gaya mera gareban tumhaara daman

jama-chin ne nahin ye phul chune nargis ke
saikDon aankhon se karta hai nazara daman

bahut ai dast-e-junun tang-nazar aata hai
bandh de daman-e-sahra se hamara daman

KHub pahuncha diya ai dast-e-junun hathon-hath
mil gaya aaj gareban se sara daman

aamad aamad mere ashkon ki magar sun li hai
jhaD kar gard jo sahra ne sanwara daman