اردو हिंदी
Gharq na kar dikhla kar dil ko kan ka baala zulf ka halqa | Shaahi Shayari
gharq na kar dikhla kar dil ko kan ka baala zulf ka halqa

Ghazal

Gharq na kar dikhla kar dil ko kan ka baala zulf ka halqa

Shah Naseer

;

gharq na kar dikhla kar dil ko kan ka baala zulf ka halqa
bahr-e-husn ke hain ye bhanwar do kan ka baala zulf ka halqa

haala-e-mah pahunche hai nuh us ko nai KHat-e-saghar us ko lage hai
aaina tum le kar dekho kan ka baala zulf ka halqa

aahu-e-dil aur tair-e-jaan ke haq mein ye donon phande hain
hum ko dikha kar tum na chhupao kan ka baala zulf ka halqa

aaj siwae shane ke yan kis ka munh hai kaun hai aisa
chhoDe tumhaare chehre par jo kan ka baala zulf ka halqa

donon tere aariz par din raat mile ye rahte hain
ainak-e-mahr-o-mah na kyun ho kan ka baala zulf ka halqa

taish-zani mein ye aqrab hai kala hai wo kunDli mare
hazrat-e-dil baz aao na chheDo kan ka baala zulf ka halqa

kis ko hisar-e-husn kahun main kis ko KHat-e-parkar kahe dil
munh se ulaT burqa ko dikha do kan ka baala zulf ka halqa

ye tere ruKH ke bose len aur tarsen meri aankhen ai wae
dekh ke kyun rashk aae na mujh ko kan ka baala zulf ka halqa

aaj zuleKHa gar yahan hoti dam-e-kamand-o-chah mein phansti
dekh mere yusuf ka azizo kan ka baala zulf ka halqa

kyunki 'nasir' arbab-e-suKHan tahsin na karen sun kar ye ghazal
jabki tum is surat se bandho kan ka baala zulf ka halqa