garmiyan shoKHiyan kis shan se hum dekhte hain
kya hi nadaniyan nadan se hum dekhte hain
ghair se bosa-zani aur hamein dushnamen
munh liye apna pashiman se hum dekhte hain
fasl-e-gul ab ki junun-KHez nahin sad-afsos
dur hath apna gareban se hum dekhte hain
aaj kis shoKH ki gulshan mein hina-bandi hai
sarw raqsan hain gulistan se hum dekhte hain
'aKHtar'-e-zar bhi ho mushaf-e-ruKH par shaida
fal ye nek hai quran se hum dekhte hain
Ghazal
Garmiyan shoKHiyan kis shan se hum dekhte hain
Wajid Ali Shah Akhtar