اردو हिंदी
Garmi-e-KHun uljhe lagi aaKHiri munjamid pahr se | Shaahi Shayari
garmi-e-KHun uljhe lagi aaKHiri munjamid pahr se

Ghazal

Garmi-e-KHun uljhe lagi aaKHiri munjamid pahr se

Iqbal Kausar

;

garmi-e-KHun uljhe lagi aaKHiri munjamid pahr se
dekhiye ab guzarte hain hum kis qayamat ke shab-e-shahr se

yun lage dard-baKHshida ki ibtida bhi ek intiha
sang chaTe lab-e-ishtiha pyas bujhti nahin zahr se

muntazir aankh ke des mein koi chhuTTi bhi aaya nahin
kaun aafiyyat-e-dostan laega dusre shahar se

mere andar ki na-puKHtagi jism bahar ke bhi Dah gai
ghar ke ghar zer-e-ab aa gae ek shigafi hui nahr se

meri rae mein 'iqbaal' wo nasl duniya mein hai aur nahin
jis ne baKHsha na kuchh waqt ko jis ne paya na kuchh dahr se