اردو हिंदी
Garmi-e-ishq ke baghair lutf-e-hayat raegan | Shaahi Shayari
garmi-e-ishq ke baghair lutf-e-hayat raegan

Ghazal

Garmi-e-ishq ke baghair lutf-e-hayat raegan

Nihal Sevharvi

;

garmi-e-ishq ke baghair lutf-e-hayat raegan
ishq hai zindagi ka rup ishq se zindagi jawan

hae wo chand saaten guzrin jo tere qurb mein
rashk se dekhti rahi jin ko hayat-e-jawedan

uf-ri manazil-e-buland tere harim-e-naz ki
pa-e-talab ko kitne tai karne paDe hain aasman

barq ki dastaras se dur asr-e-nau ke ai tuyur
aur buland aashiyan aur buland aashiyan

garm husul ju-e-shir han yunhi mard-e-tesha-gir
tesha-zani hai dahr mein asl hayat-e-kaamran

mohtasib-e-sharab to bazm-e-jahan mein hain bahut
ye bhi kaho ki hai koi mohtasib-e-gham-e-nihan

jazba-e-himmat ai 'nihaal' jab ho mera sharik-e-haal
mere labon pe aae kyun shikwa-e-gardish-e-zaman