garm raftar hai teri ye pata dete hain
dam-ba-dam lau tere naqsh-e-kaf-e-pa dete hain
hijr se karte hain nashad hamein wasl se shad
KHud maraz dete hain aur aap shifa dete hain
dil ki tum baat samajhte ho zaban go na hile
KHub sunte ho jo chupke se sada dete hain
kam na samjhen meri aahon ke shararon ko huzur
aag abhi sare zamane mein laga dete hain
tum ne ehsan kiya hai ki namak chhiDka hai
ab mujhe zaKHm-e-jigar aur maza dete hain
un ki taqdir mein hai mere lahu mein bharna
KHun ki bu tere daman-e-qaba dete hain
saf karte hain abhi ghair ye wo tegh-e-ada
dost aa ke mujhe paigham-e-qaza dete hain
jago ai mumlikat-e-ishq ke sone walo
shab ko darban-à¤-dar-e-yar sada dete hain
jitne shair hain unhon ne hamein izzat di hai
hum 'rashid' un ko shab-o-roz dua dete hain

Ghazal
Garm raftar hai teri ye pata dete hain
Rasheed lakhnavi