garm lahu ka sona bhi hai sarson ki ujyali mein
dhup ki jot jagane wale suraj ghol piyali mein
ek sarapa mahrumi ka naqsha tu ne khinch diya
talKHi ki zahrab chamak bhi hai kuchh chashm-e-sawali mein
rishta bhi hai nashw-o-numa ka farq bhi raushan lamhon ka
sabz sarapa shaKH-e-badan aur jangal ki hariyali mein
larzish bhi hai sath-e-falak par gardish karte sitaron ki
waqt ka ek Thahrao bhi hai is aurang-KHayali mein
shola-dar-shola surKHi ki maujon ko tah-dar bana
wo jo ek gahrai si hai rang-e-shafaq ki lali mein
aahista aahista ek ek bund falak se Tapki hai
khinch ek sannaTe ki faza bhi shabnam ki ujyali mein
'zeb' na bin naqqal-e-aina jiti-jagti aanhken khol
apna zehn utar ke rakh de rangon ki is thaali mein
Ghazal
Garm lahu ka sona bhi hai sarson ki ujyali mein
Zeb Ghauri