garm lashen girin fasilon se
aasman bhar gaya hai chilon se
suli chaDhne lagi hai KHamoshi
log aae hain sun ke milon se
kan mein aise utri sargoshi
barf phisli ho jaise Tilon se
gunj kar aise lauTti hai sada
koi puchhe hazaron milon se
pyas bharti rahi mere andar
aankh haTti nahin thi jhilon se
log kandhe badal badal ke chale
ghaT pahunche baDe wasilon se
Ghazal
Garm lashen girin fasilon se
Gulzar