garm-joshi ke nagar mein sard-tanhai mili
chandni us paikar-e-KHaki ko gahnai mili
bujh gaya phir sham ke sahra mein suraj ka KHayal
phir mah-o-anjum ko ji uThne ki ruswai mili
phir koi misl-e-saba aaya hai sahn-e-KHwab mein
phir mere har zaKHm ko yaadon ki purwai mili
ek purane naqsh ke manind suraj bujh gaya
shab ke shane par sitaron ki ghaTa chhai mili
KHub-surat aankh ko ek jhil samjha tha magar
tairne utra to sagar ki si gahrai mili
phir faza mein rach gai hai zaKHm-e-taza ki mahak
phir meri palkon ko 'shahin-badr' goyai mili
Ghazal
Garm-joshi ke nagar mein sard-tanhai mili
Shaheen Badr