garm har lamha lahu jism ke andar rakhna
KHushk aankhen hon magar dil mein samundar rakhna
baat niklegi junhi ghar se parai hogi
panw kuchh soch ke dahliz se bahar rakhna
zulmat-e-shab mein kahin KHud hi na Thokar khae
dushman-e-jaan ke bhi raste mein na patthar rakhna
zar, zamin, zor ka sauda jo samae sar mein
ru-ba-ru naqsha-e-anjam-e-sikandar rakhna
chaDhte suraj ki chamak apni jagah hai lekin
guzri raaton ke bhi kuchh zehn mein manzar rakhna
kuchh na paega ana bech ke darbaron se
kaisi hi bhiD bane takiya KHuda par rakhna
is bulandi ka safar sahal nahin hai 'rasiKH'
har qadam rah-e-mohabbat pe sambhal kar rakhna

Ghazal
Garm har lamha lahu jism ke andar rakhna
Rasikh Irfani