gharib hum hain gharibon ki bhi KHushi ho jae
nazar huzur idhar bhi kabhi kabhi ho jae
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jae
KHudi mein lutf wo aae ki be-KHudi ho jae
gham-e-firaq ki saKHti visal se badle
jo maut aae mujhe meri zindagi ho jae
meri sharab ki kya qadr tujh ko ai waiz
jise main pi ke dua dun wo jannati ho jae
main us nigah ke sadqe ye ho asar jis mein
ki dil mein dard bhi uTThe to gudgudi ho jae
sitam bhi ho to sitam mein wo lutf pinhan ho
ki nala aa ke mere honTh par hansi ho jae
na puchho baada-gusaran-e-bazm-e-'waris' ki
ye dekh len su-e-waiz to wo wali ho jae
haTa raha hun shab-o-roz is liye KHud ko
fana ke raaz se mujh ko bhi aagahi ho jae
teri nigah-e-karam se ajab nahin waris
'riyaz' sa sag-e-duniya bhi aadmi ho jae
Ghazal
Gharib hum hain gharibon ki bhi KHushi ho jae
Riyaz Khairabadi