gharib aadmi ko ThaT padshahi ka
ye pesh-KHema hai zalim teri tabahi ka
KHadang-e-ah ko roke raha hun furqat mein
KHayal hai mujhe aflak ki tabahi ka
umid kaise ho mahshar mein surKH-rui ki
hamesha kaam kiya ho jo ru-siyahi ka
salam tak nahin lete kalam to kaisa
faqiri mein bhi tabaKHtur hai baadshahi ka
shikast-o-fath ka zimma nahin dil-e-nadan
laDe hazar mein ye kaam hai sipahi ka
KHizab karte hain duniya se jab gae guzre
shugun karte hain piri mein ru-siyahi ka
na aasman ki inayat na mehrban wo shoKH
na puchho haal gharibon ki be-panahi ka
safed baalon pe kis waste KHizab lagaen
gaya zamana jawani mein ru-siyahi ka
KHataen ho gain madum haj se ai 'parwin'
gawah KHud hai KHuda meri be-gunahi ka
Ghazal
Gharib aadmi ko ThaT padshahi ka
Parveen Umm-e-Mushtaq