اردو हिंदी
Gareban se tere kis ne nikala subh-e-KHandan ko | Shaahi Shayari
gareban se tere kis ne nikala subh-e-KHandan ko

Ghazal

Gareban se tere kis ne nikala subh-e-KHandan ko

Wahiduddin Saleem

;

gareban se tere kis ne nikala subh-e-KHandan ko
kiya kis ne nihan daman ki kaliyon se gulistan ko

uDaya chuTkiyon mein mere zarre ne bayaban ko
mere qatre ne pani kar diya har mauj-e-tufan ko

meri kashti bhanwar se khelne ka shauq rakhti hai
ye kis ne kar diya KHamosh yarab mauj-e-tufan ko

ye kya naghma tha chheDa jo yakayak qalb-e-muztar ne
ki meri nai ne raqsan kar diya sare gulistan ko

main hun wo qatra-e-shabnam ki chamka tere partaw se
lagi hain khinchne kirnen meri mehr-e-daraKHshan ko

mere zauq-e-fana par zindagi hai KHizr ki qurban
mere talKHana-e-gham mein Dubo do aab-e-haiwan ko

kalim-e-tur-e-mani hun yad-e-baiza hai mera dil
munawwar kar diya jis ne mere chaak-e-gareban ko