gareban se tere kis ne nikala subh-e-KHandan ko
kiya kis ne nihan daman ki kaliyon se gulistan ko
uDaya chuTkiyon mein mere zarre ne bayaban ko
mere qatre ne pani kar diya har mauj-e-tufan ko
meri kashti bhanwar se khelne ka shauq rakhti hai
ye kis ne kar diya KHamosh yarab mauj-e-tufan ko
ye kya naghma tha chheDa jo yakayak qalb-e-muztar ne
ki meri nai ne raqsan kar diya sare gulistan ko
main hun wo qatra-e-shabnam ki chamka tere partaw se
lagi hain khinchne kirnen meri mehr-e-daraKHshan ko
mere zauq-e-fana par zindagi hai KHizr ki qurban
mere talKHaba-e-gham mein Dubo do aab-e-haiwan ko
kalim-e-tur-e-mani hun yad-e-baiza hai mera dil
munawwar kar diya jis ne mere chaak-e-gareban ko
Ghazal
Gareban se tere kis ne nikala subh-e-KHandan ko
Wahiduddin Saleem