اردو हिंदी
Gareban hath mein hai panw mein sahra ka daman hai | Shaahi Shayari
gareban hath mein hai panw mein sahra ka daman hai

Ghazal

Gareban hath mein hai panw mein sahra ka daman hai

Hatim Ali Mehr

;

gareban hath mein hai panw mein sahra ka daman hai
bas ab panw hain apne aur sar-e-KHar-e-mughilan hai

hawa-e-dasht-e-wahshat hum ko le uDti hai basti se
hamara unsur-e-KHaki magar reg-e-bayaban hai

sabaq ko dekhta hun raat bhar aur phir ulajhta hun
mutawwal muKHtasar wo sharh-e-sher-e-zulf-e-pechan hai

jalata hai ye parwanon ko wasf-e-shoala-ruyan se
zaban-e-KHama bhi ab to zaban-e-sham-e-sozan hai