اردو हिंदी
Gareban dar gareban nukta-arai bhi hoti hai | Shaahi Shayari
gareban dar gareban nukta-arai bhi hoti hai

Ghazal

Gareban dar gareban nukta-arai bhi hoti hai

Qateel Shifai

;

gareban dar gareban nukta-arai bhi hoti hai
bahaar aae to diwanon ki ruswai bhi hoti hai

hum un ki bazm tak ja hi pahunchte hain kisi surat
agarche rah mein diwar-e-tanhai bhi hoti hai

bikharti hai wahi akasr KHizan-parwar bahaaron mein
chaman mein jo kali pahle se murjhai bhi hoti hai

ba-nam-e-kufr-o-iman be-murawwat hain jahan donon
wahan shaiKH-o-barahman ki shanasai bhi hoti hai

chamakti hai koi bijli to sham-e-rahguzar ban kar
nigah-e-barham in ki kuchh to sharmai bhi hoti hai

'qatil' us dam bhi rahta hai yahi ehsas-e-mahrumi
jab un shanon pe zulfon ki ghaTa chhai bhi hoti hai