gardishon mein bhi hum rasta pa gae
jis gali se chale the wahin aa gae
na-gahan us ne jab pursish-e-haal ki
aankh nam ho gai honT tharra gae
zikr jab bhi chhiDa hai wafa ka kahin
jaane kyun hum ko kuchh dost yaad aa gae
hath ulajhne lage jeb-o-dastan se kyun
ai junun kya bahaaron ke din aa gae
wo nazar uTh gai jab sar-e-mai-kada
KHud ba-KHud jam se jam Takra gae
aise nazuk to 'iqbaal' hum bhi na the
log nadan the hum se Takra gae
Ghazal
Gardishon mein bhi hum rasta pa gae
Iqbal Safi Puri