اردو हिंदी
Gardish mein aaina ho na kyun rozgar ka | Shaahi Shayari
gardish mein aaina ho na kyun rozgar ka

Ghazal

Gardish mein aaina ho na kyun rozgar ka

Javed Lakhnvi

;

gardish mein aaina ho na kyun rozgar ka
chullu mein KHun liye hun dil-e-be-qarar ka

bhaDki hui thi surKH gulon se chaman mein aag
daman na jal gaya ho nasim-e-bahaar ka

aae hain le ke ghair ko wo puchhne mizaj
tum ne gila kiya tha dil-e-be-qarar ka

mahshar ki bhi ummid pe be car jaan di
kya e'tibar wada-e-be-e'tibar ka

itni to aarzu hai kabhi yaad kar len dost
shayad kabhi phir aae zamana bahaar ka

saghar ubal rahe hain to shishon mein josh hai
nikla hai khich ke dam jo kisi baada-KHwar ka

tum aae kya ki rang-e-zamana badal gaya
gul ho gaya charagh hamare mazar ka

taswir ki ragon mein lahu dauDne laga
kya aa gaya jahan mein mausam bahaar ka