gardish ki raqabat se jhagDe ke liye tha
jo ahd mera titli pakaDne ke liye tha
jis ke liye sadiyan kai tawan mein di hain
wo lamha to miTTi mein jakaDne ke liye tha
haalat ne ki jaan ke jab dast-daraazi
har sulh ka pahlu hi jhagaDne ke liye tha
munh zoriyan kyun mujh se saza-war thin us ko
phailao jahan us ka sukaDne ke liye tha
qurban thin baalidgiyan naKHl-e-talab par
kya josh-e-numu aap ukhaDne ke liye tha
pani ne jise dhup ki miTTi se banaya
wo daera-e-rabt bigaDne ke liye tha
Ghazal
Gardish ki raqabat se jhagDe ke liye tha
Hanif Tarin