gardish-e-muqaddar ka silsila jo chal jae
dusra itab aae ek bala jo Tal jae
hujra-e-gareban mein har jawab raushan hai
bas zara nigahon ka zawiya badal jae
aansuon ke bahne ka ye asar to hota hai
gham zara sa Dhal jae dil bhi kuchh sambhal jae
masalon ki gutthi bhi yun kahan sulajhti hai
ek sira jo hath aae dusra nikal jae
is ada ko kya kahiye wo paDos se aa kar
gul nae saja jae chadaren badal jae
kya ajab tasawwur hai hum talab ke maron ka
hiddat-e-tamanna se aasman pighal jae
Ghazal
Gardish-e-muqaddar ka silsila jo chal jae
Yaqoob Tasawwur