gardish-e-dauran se yahan kis ko faragh aaya hai hath
han magar aaya to ek hasrat ka dagh aaya hai hath
nauha-sanji ki bhi mohlat andalibon mein nahin
baghban qismat se kya hai be-dimagh aaya hai hath
umr guzri justaju-e-kucha-e-dil-dar mein
wae-nakaami pas-az-murdan suragh aaya hai hath
dil ke daghon ne kiya hum ko chaman se be-niyaz
mannaten mani hain barson tab ye bagh aaya hai hath
dagh dil par nala lab par chashm giryan sina rish
'ashiq'-e-shorida ko kis dam faragh aaya hai hath
Ghazal
Gardish-e-dauran se yahan kis ko faragh aaya hai hath
Ashique Akbarabadi