gardish-e-dauran se ek lamha churane liye
sochna paDta hai kitna muskurane ke liye
kitni zahmat jhelta hai ek muflis mezban
ghar ki bad-hali ko mehman se chhupane ke liye
bhuk un ko le gai hai kar-KHanon ki taraf
ghar se bachche nikle the school jaane ke liye
KHun apna bech kar aaya hai ek majbur bap
beTiyon ke hath par mehndi lagane ke liye
zindagi jalti hai kitni dozaKHon ki aag mein
chaar-diwaron ki ek jannat banane ke liye
hae tyauhaaron ne logon ko bhikari kar diya
qarz lena paDta hai KHushiyan manane ke liye
ho rahe hain aaj dana aandhiyon mein mashware
sirf mere ghar ka ek dipak bujhane ke liye
Ghazal
Gardish-e-dauran se ek lamha churane liye
Abbas Dana