gardish-e-chashm hai paimane mein
tum gae ho kabhi maiKHane mein
ek jalwa sa nazar aata hai
koi to hai mere gham-KHane mein
yun hai sine mein dil-e-pur-hasrat
qabr jaise kisi virane mein
saz-e-nairang hai meri zanjir
nai aawaz hai har dane mein
dekh ai dil na mujhe chhoD ke ja
farq aa jaega yarane mein
jal ke aashiq hue mashuq sifat
shama ka soz hai parwane mein
jaan us but mein lagi rahti hai
apne ko pate hain begane mein
be-KHudi ne na kahin ka rakkha
hum hain basti mein na virane mein
sang-e-dar tak tere jab sar pahuncha
lakh sajde kiye shukrane mein
nahin malum gaya kis jaanib
dil laga hai tere diwane mein
qissa-e-hazrat-e-yusuf na suno
turfa ibrat hai is afsane mein
haal-pursi nahin karta koi
bekasi hai mere gham-KHane mein
is tarah dil mein hai aahon ka dhuan
jaise KHak uDti hai virane mein
barakat kis ke qadam ki hai 'rashid'
ki azan hoti hai but-KHane mein
Ghazal
Gardish-e-chashm hai paimane mein
Rasheed lakhnavi