gardish-e-ab-o-hawa jaanti hai
dil hai kyun dil se juda jaanti hai
sans lena hai fana ho jaana
raaz ye barg-e-hina jaanti hai
kaise raushan hai is aandhi mein charagh
sari tafsil hawa jaanti hai
yun dabe panw chali baad-e-nasim
jaise aadab-e-haya jaanti hai
ru-e-ghuncha pe damak hai kis ki
shabnam-e-abla-pa jaanti hai
farsh-e-rah ban ke bikhar jati hai
bu-e-gul dard-e-saba jaanti hai
hain abas kunj-e-nahufta mein tuyur
rasta barq-e-fana jaanti hai

Ghazal
Gardish-e-ab-o-hawa jaanti hai
Syed Amin Ashraf