gardan-e-shisha jhuka de mere paimane par
san barasta rahe saqi tere maiKHane par
garmi-e-husn baDhi sard hua aashiq-e-zar
shama ke phul se bijli giri parwane par
garmiyan hain to mera dida-e-tar hazir hai
chhoTe mizhgan ka hazara tere KHas-KHane par
ghash hua gardan-e-saqi pe kabhi aankh pe luT
kabhi shisha pe gira main kabhi paimane par
wo bhi ai 'qadr' tha ek naqsh-e-qadam haidar ka
rakhte the mohr-e-nabuwwat jo nabi shane par
Ghazal
Gardan-e-shisha jhuka de mere paimane par
Qadr Bilgarami