gard-o-ghubar yun baDha chehra bikhar gaya
malbus tha main jis mein labaada bikhar gaya
kal raat jugnuon ki samundar pe bhiD thi
lagta tha raushni ka jazira bikhar gaya
dahshat thi is qadar ki manazir pighal gae
gir kar badan se KHud mera saya bikhar gaya
manzar mein aur nazar mein tasadum tha raat bhar
jab bhi uThi nigahen daricha bikhar gaya
jaan se zyaada rakkha jise ehtiyat se
wirse mein jo mila tha wo tohfa bikhar gaya
tufan-e-yaad-e-raftagan itna shadid tha
ashkon se meri aankh ka tara bikhar gaya
Ghazal
Gard-o-ghubar yun baDha chehra bikhar gaya
Nadeem Mahir