gard-o-ghubar dhup ke aanchal pe chha gae
aur ghan-garaj ke shor bhi baadal pe chha gae
ab to koi kanwal nahin khilta hai jhil mein
ab kanTe-dar barg hi jal-thal pe chha gae
wo so nahin sakega kisi pal sukun se
jab waswase bhi aankhon ke kajal pe chha gae
bijli sitare chand shafaq aur dhup chhanw
kaise zamin ke barhana jangal pe chha gae
'azam' ise wo kahte hain rangon ka ek fan
jab dagh dhabbe farsh ke maKHmal pe chha gae
Ghazal
Gard-o-ghubar dhup ke aanchal pe chha gae
Imam Azam