gard kaisi hai ye dhuan sa kya
ja raha hai wo karwan sa kya
ho gaya koi mehrban sa kya
ranj ka bandh gaya saman sa kya
tak rahe hain KHala mein hum kis ko
ban raha hai wo ek nishan sa kya
silsila kuchh udasiyon ka bhi
jagmagata hai kahkashan sa kya
hum bhi achchhe hain dard bhi kam hai
dil se uTTha magar dhuan sa kya
kaise TuTe sukut-e-sham-e-firaq
har taraf shor-e-be-aman sa kya
ye mohabbat hai ya hai koi tilism
pichha karta hai ek guman sa kya
Ghazal
Gard kaisi hai ye dhuan sa kya
Ahmad Hamdani