gard hai zar hai sim hai zarra
shakl mein farq-e-mim hai zarra
yun to reza hai juz hai shama hai
kul mein lekin jasim hai zarra
mehr ki raushni mein rauzan se
dekho kitna azim hai zarra
kahin ye shams hai kahin ye qamar
jis jagah hai azim hai zarra
munqasim hone se hai jo mazur
ye wo durr-e-yatim hai zarra
puchhiye hurriyat-pasandon se
subh-e-nau ki nasim hai zarra
nukta-e-hikmat-o-tadabbur hai
jis jagah bhi muqim hai zarra
munqasim kaise hoen harf bhi qata
'hilm' lafz-e-qadim hai zarra
Ghazal
Gard hai zar hai sim hai zarra
Waqar Hilm Syed Naglavi