اردو हिंदी
Gard-e-majnun le ke shayad baad-e-sahra jae hai | Shaahi Shayari
gard-e-majnun le ke shayad baad-e-sahra jae hai

Ghazal

Gard-e-majnun le ke shayad baad-e-sahra jae hai

Shakeel Jazib

;

gard-e-majnun le ke shayad baad-e-sahra jae hai
jaane kis wahshat mein basti ko bagula jae hai

main na kahta tha ki lazim hai nigah bhar fasla
jab bahut nazdik ho to aks dhundla jae hai

kya karun ai tishnagi tera mudawa bas wo lab
jin labon ko chhu ke pani aag banta jae hai

KHauf ka mafhum pahli bar samjha ishq mein
baat hoti kuchh nahin aur jaan ko aa jae hai

le jahan ko taj diya le khinch Dali apni khaal
ab usi mear par aashiq ko parkha jae hai