gard-baad afsos ka jangal se hai paida hanuz
hat milta matam-e-majnun se hai sahra hanuz
jon sadaf hai garche aankhon mein sajan basta hanuz
kholta nin uqda-e-dil wo dur-e-yakta hanuz
jab pata puchhun main ghar ka yar harjai seti
do dila karne kun kahta hai mujhe ja ja hanuz
tauq-o-pech-e-zulf-e-laila hai baghole se ayan
KHak-e-majnun se niyaz-o-naz hai ruswa hanuz
garche misl-e-shabnam-e-gul dil diya hun pi ke hat
wo rangila kholta nin uqda-e-sima hanuz
jaan-e-shirin se sharar tan mein jalata hai mudam
tain-e-kam-zarfi-e-farhad hai KHara hanuz
dagh-e-dil 'uzlat' ko jun lala hai bulbul bin bahaar
un gulon se ji kisi rangon nahin lagta hanuz
Ghazal
Gard-baad afsos ka jangal se hai paida hanuz
Wali Uzlat