gard-alud darida chehra yun hai mah o sal ke baad
jaise falak barish se pahle jaise zamin bhaunchaal ke baad
murda logon ki basti mein sunta hun aawazen si
jaise maqtal ka sannaTa bole aam qital ke baad
hijr to pahle bhi aaya tha lekin ab wahshat hai aur
chalti hawa se laDte hain hum ek pari-timsal ke baad
bhar jaengi jis dam shaKHen sabz mahakte patton se
jogi aate jate mausam lauTenge phir sal ke baad
raat badan yun lau dete the jaise sandal jalta ho
lekin dil-e-diwana chahe aur bhi kuchh ho visal ke baad
gar sochen to hijr-zadon ne yun bhi pai umr baDi
uTThe dil mein dard se pahle baiThe gard malal ke baad
kaun se dukh ko palle bandhen kis gham ko tahrir karen
yan to dard siwa hota hai aur bhi arz-e-haal ke baad
Ghazal
Gard-alud darida chehra yun hai mah o sal ke baad
Tauseef Tabassum