garche sahl nahin lekin tere kahne par launga
kaT ke apne hathon mein ab apna hi sar launga
jis mein hon tayyar khaDi har samt sarabon ki faslen
apne kandhon par wo registan uTha kar launga
qaus-e-quzah ke rangon se tayyar karunga naqsh naya
rah jao angusht-ba-dandan aisa manzar launga
un ki yaad mein bahte aansu KHushk agar ho jaenge
sat samundar apni KHali aaankhon mein bhar launga
ja pahunchunga taKHt-e-mualla tak apni fariyaad liye
dast-e-KHas se likhwa kar ek naya muqaddar launga
Ghazal
Garche sahl nahin lekin tere kahne par launga
Sadiq