اردو हिंदी
Garche qalam se kuchh na likhenge munh se kuchh nahin bolenge | Shaahi Shayari
garche qalam se kuchh na likhenge munh se kuchh nahin bolenge

Ghazal

Garche qalam se kuchh na likhenge munh se kuchh nahin bolenge

Ilyas Ishqi

;

garche qalam se kuchh na likhenge munh se kuchh nahin bolenge
phir bhi julus-e-dar chala to sath hum us ke ho lenge

waqt aaya to KHun se apne dagh-e-nadamat dho lenge
saya-e-zulf mein jagne wale saya-e-dar mein so lenge

kaun se sahil par ye safine apna langar kholenge
ruKH pe hawa ke ho lenge to dariya dariya Dolenge

jin mallahon ko tufan se tund hawa ne par kiya
kya ab sahil par aa kar wo apni naw Dubo lenge

jab bhi dasht-e-wafa mein raqs-e-abla-pa yan howega
ahl-e-wafa us se pahle hi rah mein kanTe bo lenge

lafzon se ehsas ka rishta jis lamhe tak qaem hai
sachche samjho ya jhuTe kuchh moti hum bhi piro lenge

nafsa-nafsi ke aalam mein kaun kisi ka hath baTae
apna apna bojh hai 'ishqi' fardan-fardan Dho lenge