garche mere KHulus se wo be-KHabar na tha
phir bhi meri wafaon ka us par asar na tha
main us fareb-e-husn se KHud ba-KHabar na tha
wo tha to mere sath ba-zahir magar na tha
apna use bana na saka main tamam umr
mujh mein bahut hunar the magar ye hunar na tha
lab the KHamosh KHauf se izhaar-e-ishq ke
par aansuon ko mere kisi ka bhi Dar na tha
sare jahan ki KHak ko hum chhanne ke baad
lauTe to dekha apna ghar ab apna ghar na tha
bimar-e-gham ke waste kya maut ke siwa
koi ilaj dahr mein ai chaara-gar na tha
kya mai-kade ka nazm bhi tabdil ho gaya
saqi jo daur-e-jam idhar tha udhar na tha
hoti bhi fath kaise meri jab the sath sath
wo log jin ke shane pe KHud apna sar na tha
kyun us ne ki na zahmat-e-chaara-gari qubul
kya us ke pas chaara-e-zaKHm-e-jigar na tha
coffee tha mujh ko rah-e-wafa mein KHayal-e-yar
'tabish' bala se koi mera ham-safar na tha

Ghazal
Garche mere KHulus se wo be-KHabar na tha
Rohit Soni u0027Tabishu0027