garche main sar se pair talak nok-e-sang tha
phir bhi wo mujh se bar-sar-e-paikar-o-jang tha
lab sil gae the apne ana ke sawal par
go dil hi dil mein mujh se wo main us se tang tha
main aa gaya alang ke har dasht har pahaD
teri sada pe mujh pe Thahar jaana nang tha
duniya tamam aatishin-dhaaron ki zad mein thi
lekin main be-KHatar tha ki wo mere sang tha
shishe ki kirchiyan si badan mein utar gain
us ka libas us ki jasamat pe tang tha
Ghazal
Garche main sar se pair talak nok-e-sang tha
Atiiqullah