garche har samt masail ke hain ambar bahut
apni taqrir pe hai shaiKH ko israr bahut
hum ne mana ki tere shahr mein sab achchha hai
koi isa ho to mil jaenge bimar bahut
na-sapasi ka samar dar-ba-dari hai yaro
yaad aaegi ye TuTi hui diwar bahut
aaj phir qafila-e-haq ka KHuda hafiz hai
shahr walon mein nahin jurat-e-inkar bahut
hum jo afrang se haare hain to do baaton par
waqt ki qadr nahin garmi-e-guftar bahut
qissa-e-KHair na chhupne ke bahane lakhon
KHabar-e-bad pe uchhalte hain ye aKHbar bahut
baat sunne ke liye sirf hawaen 'KHalid'
baat karne ke liye dost bahut yar bahut
Ghazal
Garche har samt masail ke hain ambar bahut
Khalid Yusuf