garche gul ki sej ho tis par bhi uD jati hai nind
sar rakhun qadmon pe jab tere mujhe aati hai nind
dekh sakta hi nahin aankhon se Tuk aankhen mila
muntazir se misl-e-nargis tere sharmati hai nind
jab se ye mizhgan hue dar par tere jarub-kash
ru-ba-ru tab se meri aankhon ke Tal jati hai nind
dhyan mein gul-ru ke chain aata nahin afsana-gar
le saba se gah bu-e-yar bahlati hai nind
ashk to itne bahe 'chanda' ki chashm-e-KHalq se
qurrat-ul-ain-e-ali ke gham mein bah jati hai nind
Ghazal
Garche gul ki sej ho tis par bhi uD jati hai nind
Mah Laqa Chanda