garche dil mein hi sada jaan-e-jahan rahte ho
par ba-zahir nahin malum kahan rahte ho
shukr-lillah ki abhi kaam tumhein baqi hai
le chuke dil to wale darpa-e-jaan rahte ho
aa nikalte ho kidhar bhul ke be-KHwahish-e-dil
ab bhi jao wahin har roz jahan rahte ho
ai KHush-abru koi phir Dhab pe chaDha taza shikar
yun jo har waqt liye tir-o-kaman rahte ho
gar kabhi aae 'asar' pas hue wohin udas
KHush shab-o-roz paDe auron ke han rahte ho
Ghazal
Garche dil mein hi sada jaan-e-jahan rahte ho
Meer Asar