اردو हिंदी
Gharaz rahbar se kya mujhko gila hai jazb-e-kaamil se | Shaahi Shayari
gharaz rahbar se kya mujhko gila hai jazb-e-kaamil se

Ghazal

Gharaz rahbar se kya mujhko gila hai jazb-e-kaamil se

Jagat Mohan Lal Ravan

;

gharaz rahbar se kya mujh ko gila hai jazb-e-kaamil se
ki jitna baDh raha hun haT raha hun dur manzil se

sukut-e-be-mahal taqrir-e-be-mauqa ki tohmat kyun
uThana ho to yun hum ko uTha do apni mahfil se

ye arman-e-taraqqi aaj hai dawa KHudai ka
usi dil ka jo kal tak tha lahu ki bund mushkil se

gul-o-lala pe aaKHir kar raha hai ghaur kya gulchin
ye wo KHun hai jo Tapka tha kabhi chashm-e-anadil se

shab-e-mahtab dariya ka kinara aur ye sannaTa
tumhein is saz par hum KHush karenge naghma-e-dil se

ghazab hai jal ke parwanon ka un ki bazm mein kahna
'rawan' ya yun fida ho jao ya uTh jao mahfil se