gharaz kisi se na ai dosto kabhu rakhiyo
bas apne hath yahan apni abru rakhiyo
zamana sang sahi aaine si KHu rakhiyo
jo dil mein rakhiyo wahi sab ke ru-ba-ru rakhiyo
na jaane kaun use toD phoD kar rakh de
bahut sambhaal ke is bazm mein subu rakhiyo
uDa na dijiye sab gham ki rang-raliyon mein
bacha ke dil ke piyale mein kuchh lahu rakhiyo
yahi bachaegi shamshir-e-waqt se 'ajiz'
hamari baat qarib-e-rag-e-gulu rakhiyo
Ghazal
Gharaz kisi se na ai dosto kabhu rakhiyo
Kaleem Aajiz