اردو हिंदी
Garam-e-talash-o-justuju ab hai teri nazar kahan | Shaahi Shayari
garam-e-talash-o-justuju ab hai teri nazar kahan

Ghazal

Garam-e-talash-o-justuju ab hai teri nazar kahan

Asghar Gondvi

;

garm-e-talash-o-justuju ab hai teri nazar kahan
KHun hai kuchh jama hua qalb kahan jigar kahan

hai ye tariq-e-ashiqi chahiye is mein be-KHudi
is mein chunan-chunin kahan is mein agar magar kahan

zulf thi jo bikhar gai ruKH tha ki jo nikhar gaya
hae wo sham ab kahan hae wo ab sahar kahan

kijiye aaj kis tarah dauD ke sajda-e-niyaz
ye bhi to hosh ab nahin panw kahan hai sar kahan

hae wo din guzar gae joshish-e-iztirab ke
nind qafas mein aa gai ab gham-e-baal-o-par kahan

hosh o KHirad ke phere mein umr-e-aziz sarf ki
raat to kaT gai yahan dekhiye ho sahar kahan