اردو हिंदी
Gar unhen hai apni surat par ghamanD | Shaahi Shayari
gar unhen hai apni surat par ghamanD

Ghazal

Gar unhen hai apni surat par ghamanD

Mirza Asman Jah Anjum

;

gar unhen hai apni surat par ghamanD
hum ko hai apni mohabbat par ghamanD

mere un ke phir bhala kyun-kar bane
KHatm hai donon ki KHaslat par ghamanD

kya nahin dekhi bulandi aah ki
kyun falak karta hai rifat par ghamanD

kaam qarun ke na aaya mal-o-zar
munimo beja hai daulat par ghamanD

baadshah-e-haft-kishor hai to kya
kar na do din ki hukumat par ghamanD

dekh kar aaina mujh ko dang hai
mujh ko bhi hai apni hairat par ghamanD

un ko apni subh-e-mahshar par hai naz
hum ko apni sham-e-furqat par ghamanD

chhup-chhupa kar dekh bhi lenge tumhein
hum ko bhi hai apni jurat par ghamanD

kuchh nahin kar sakta 'anjum' aap ka
aasman ko hai jo hasrat par ghamanD