gar mere lahu rone ka baran banega
kucha tera rashk-e-chamanistan banega
gar us qad-e-mauzun ka tamanna mein asar hai
barjasta meri baaton ka diwan banega
us zulf ki gar lail baraat aawe mere hat
dil ke mere daghon ka charaghan banega
'uzlat' tu kar us zulf-e-pareshan se ye dil jama
zunnar ka shiraaza-e-quran banega

Ghazal
Gar mere lahu rone ka baran banega
Wali Uzlat