gar mere baiThne se wo aazar khinchte
to apne dar ki aa ke wo diwar khinchte
naz o ada o ghamza se yun dil liya mera
le jaen jaise mast ko hushyar khinchte
wa hasrata hui unhen aane ki tab KHabar
lae jab us gali mein mujhe yar khinchte
aaega un ke kahne se wo gul yahan talak
kanTon pe kyun hain ab mujhe aghyar khinchte
wan shauq jaliyon ka hai us jama-zeb ko
yan apne pairahan se hain hum tar khinchte
tegh-e-nigah-e-yar uchaTti lagi hai phir
barson guzar gae mujhe aazar khinchte
kahte hain shab wo kahte the aata hai ji ghuTa
nale jo hum rahe pas-e-diwar khinchte
aazurda un ko dekhte hi jaan nikal gai
wo dekh mujh ko rah gae talwar khinchte
taskin' ka chaak chaak hua dil jo shane ko
dekha kisi ka turra-e-tarrar khinchte
Ghazal
Gar mere baiThne se wo aazar khinchte
Taskeen Dehlavi