gar kijiye insaf to ki zor wafa main
KHat aate hi sab chal gae ab aap hain ya main
tum jin ki sana karte ho kya baat hai un ki
lekin Tuk idhar dekhiyo ai yar bhala main
rakhta hai kuchh aisi wo barahman bacha raftar
but ho gaya dhaj dekh ke jis ki ba-KHuda main
yaro na bandhi us se kabhu shakl-e-mulaqat
milne ko to us shoKH ke tarsa hi kiya main
jab main gaya us ke to use ghar mein na paya
aaya wo agar mere to dar KHud na raha main
kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai 'sauda'
saghar ko mere hath se lijo ki chala main
Ghazal
Gar kijiye insaf to ki zor wafa main
Sauda Mohammad Rafi