اردو हिंदी
Gar kahun matlab tumhaara khul gaya | Shaahi Shayari
gar kahun matlab tumhaara khul gaya

Ghazal

Gar kahun matlab tumhaara khul gaya

Nizam Rampuri

;

gar kahun matlab tumhaara khul gaya
kahte hain achchha hua kya khul gaya

ghair ki qismat ki khani hai qasam
band tha darwaza un ka khul gaya

tum khule-bandon milo aghyar se
shukr panw ab tumhaara khul gaya

aa gai be-parda wo surat nazar
aankh ki jab band parda khul gaya

ghair se ab band ho kis baat par
galiyon par munh tumhaara khul gaya

khul gaya haal is dil-e-betab ka
munh dupaTTe se jo un ka khul gaya

hon ishaare ghair se aur dekhun main
bait-e-abru ka bhi mana khul gaya

nama-bar! tere chhupane se mujhe
apni qismat ka nawishta khul gaya

dil ki be-tabi ne ruswa kar diya
hae sab par raaz apna khul gaya

nama-bar! gar ghair ne dekha nahin
kaise phir KHat ka lifafa khul gaya

qudrat-e-haq se baDhi ishrat ki shab
shab jo us kafir ka juDa khul gaya

dekhiye kya dil se dil ko rah hai
raaz jo tum ne chhupaya khul gaya

jo na kahna tha kaha sab kuchh 'nizam'
raaz baaton mein wo aisa khul gaya