gar junun kar mujhe paband-e-salasil jata
panw rakhne ka Thikana to kahin mil jata
mar bhi jata to na mera maraz-e-sil jata
gham-e-asnam ki chhati pe dhare sil jata
KHatt-e-ariz jo tarashne se miTe hai ye muhaal
chhilne se nahin qismat ka likha chhil jata
chhuTta id ke din bhi na giraftaron ko
surat-e-tauq-e-gulu-gir gale mil jata
jab chamakti hai teri tegh tabassum ai gul
dahan-e-zaKHm hai ghunche ki tarah khil jata
dil mein hota na mere daKHl bala-e-kakul
saya rahta na kabhi girya makan kil jata
rasha-andam hun ye KHauf-e-KHuda se ai 'shad'
koi mujrim ho kaleja hai mera hil jata
Ghazal
Gar junun kar mujhe paband-e-salasil jata
Shad Lakhnavi