gar jafa ki na ho wafa mane
koi zalim nahin tera mane
chaara-gar ke ilahi TuTen hath
ho gai dard ki dawa mane
samne tere dam na nikla hae
hasraton ki hui qaza mane
kyun na ulTi naqab chehre se
hashr ki kyun hui haya mane
kyun na pheri chhuri ruka kyun hath
tera jallad kaun tha mane
chhoD kar parda haT gaya wo shoKH
nala didar ka hua mane
'asman' us qamar ke aane ka
hua izhaar-e-muddaa mane
Ghazal
Gar jafa ki na ho wafa mane
Mirza Asman Jah Anjum